Blogger Blog Ki Template Ko Change Upload Kaise Kare.

Agar aap ek new blogger hai or aap apne blog ko ek professional look dena chahte hai jisse ki aapke visitors ko aapka blog pasand aaye or wo dubara aapke blog par visit kare to aapko apne blog ka template change karna chahiye. Aaj ke post me bataunga ki apne blogsopt blog me custom template kaise upload kare. agar aap bhi apne blog me custom template upload karna chahte hai to es post ko pura padhiye or bataye gaye step ko follow kariye.
 Template upload karne se pahle aapko ye pata hona chahiye ko custom template ke kya kya fayde hai. to chaliye aapko batate hai custom template ke kya kya fayde hai.

How to Change Blog Template, Indian tech online
How to Change Blog Template

CUSTOM TEMPLATE KE KYA FAYDE HAI


Agar hamara blog professional blog ki tarha dikhe to hamare blog me visitors visit karna pasnad karenge jisse ki hamari traffic badhegi. Or aap jante hi hai ki ek blogger ke liye traffic kitne mayne takhta hai.  Custom template me aapko or bahut sare option mil jayenge jaise share button, follow button etc. 
Hame ye to pata ho gya ki custom template ke kya fayde hai ab hame ye bhi jaan lena chahiye ki custom template jo ham upload karne waale hai usme kya kya hona chahiye. 

Custom template me kya kya hona chahiye.


1)MOBILE FRIENDLY :- Aap ka template Mobile Friendly hona chahiye kyuki aapko pata hai jyada tar log apne mobile se hi internet use karte hai or agar aapka template mobile friendly nhi huaa to jab bhi koi visitor aapke blog me visit karega to use aapke blog me problem hogi or wo phir kabhi aapke blog me aana pasand nhi karega. Jisse aapka traffic par bahut bura asar hoga.


2)SEO FRIENDLY :- aapki template SEO Friendly hona chahiye taki wo google ya kisi bhi search engine me aasaani se search ho.


3)FAST LOADING : - Aapko template fast loading honi chahiye taki aapki blog jaldi se open ho sake. Agar aapko template fast loading nhi hogi to aapka blog open hone me jyada time lega jisse aapke visitors aapki blog ko ignore karke dusre blog me chale jayenge.
Aapko ye bhi pata hona chahiye ki blog Template kaisi honi chahiye. To chaliye aapko batate hai ki Apne blog me Template kaise upload kare.


BLOG KI TEMPLATE CHANGE YA UPLOAD KAISE KARE.

Sabse pahle aap apne blogger ka dashboard open kar lijiye.

1) Theme par click kare.


2) Ab Backup/Restore par click kare.



Ab aapke samne ek window open hogi.



3)Download Template par click karke apne template ka backup bana le taaki agar aapko new template upload karne ke baad kuchh error aati hai to aap phir se purani template use karke us error ko thik kar sakte ho.


4)Choose File par click kare, click karne ke baad XML file ko chune jo aap download kari hui hai. Agar aap template download nhi kari hui hai to gooyaabitemplates.com ya BTemplates: Blogger Templates  website se free template download kar le. Ya phir mere es post "TOP 5 FREE CRICKET GAME 2018" ko padhe es post me mai 5 free blogger template ke bare me bata chuka hu aap yahan se bhi template download kar sakte hai.


5)File Choose karne ke baad upload par click karde. Thoda wait kare. Ab aapko template ka look badal gya hai. aap apne blog par visit kar ke khud dekh sakte hai.


To friends bas ye simple se step ko follow kar aap apne blog ke template ko aasani se change kar sakte ho.


I hope ye post aapko acchi lagi hogi. Agar ye post aapko acchi lagi hogi to social media par jarur share kariyega.
Thanks for reading. Jai hind.

Previous
Next Post »